
Poem:
Kisi k haal mei yakdum sa
to bebas sa kisi ki
parchai mein chhuppa milta hun…
Mei woh lams hun jo
aainay se paray, ik beenai
mein chhuppa milta hun.
Kyu kehtay ho ishq isko
duniya walon gar tumhay mein,
Sara jahaan chhor kr sirf
harjai mei chhuppa milta hun.
Mat udaas ho khakar yun
dar dar ki tu thokarein…
Mei to rizq hun, raston ki
tanhai mei chhuppa milta hun.
Us ki harkat pe kabhi pathar
to kabhi phool de maro,
maro kuch pr jaan k: mein uski
ruswai mei chhuppa milta hun.
Kaun uthayega bhoola saaman,
us k kooch kar janay par…
Is baat pr do padosiyon ki beja
larai mein chhuppa milta hun.
Aise to kabhi karna nahi us ne
Mohabbat ka aitraf magar dekhna
Mei tasveer hun – jaib ki posheeda
silai mei chhuppa milta hun.
Sun kar aa na jaye dhhundte huay
koi is besakhta Dil ki aawaz.
To jab bhi milta hun us se
bazm-e-shanai mei chhuppa milta hun.
Ab konsa pathar maroge aye dost
us ghar k dareecho par?
Tumhari talkh-kalami se farar uski
achaai mei chhuppa milta hun.
Us k janay k baad banaya jo
Mohabbat ka azeem maqbara…
Ab pachhtaway mei ki hui
bhalai mei chhuppa milta hun.
Phir pinha kar aayega koi
hawas ko mohabbat ka pairhan,
Yehi sabaq to hun jo tumhein
bewafai mei chhuppa milta hun.
Jala deti hai woh khat k sard
huwaon se aaram milay, lekin…
Mei unhein aag laganay waali
dia-salai mein chuppa milta hun.
Tortay kyon ho mujisma aur
kyun usay but-parast kehtay ho
Mein to har sang-tarash k dil ki
gehrai mein chhuppa milta hun…
Mere fareb bhi to kuch aise
mo-at-bar hongay na Sohani,
Khwaab hu mein ik jhoota par dekho
sachai mei chhuppa milta hun.
— Dedicated to the thoughts of the beloved.