
Poem:
Faaslon mei bichadd jaunga
ye tunay kese soch lia?
Aur phir yaad bhi nahi aunga…
yeh tunay kese soch lia?
Udhar lia hai mene tuj se
khud ka hona yeh
Qiston mei bhi nahi chukaunga?
yeh tunay kese soch lia?
Meri diary se gir-gaya
woh jo tera that laal rumaal…
Haq uspar apna nahi jataunga?
yeh tunay kese soch lia?
Kehdene se tere “theek hun”.
manlunga, Theek aur “bas theek”
ka fark bhi nahi kar paunga?
yeh tunay kese soch lia?
Har jumlay k aaghaz mein
tootay hein terey lafz…
Honton ka chabbana nahi parh paunga?
yeh tunay kese soch lia?
Teri almari mei kisi konay mein
pari purani poshak ki tarah
mein khud ba khud khojaunga?
Yeh tunay kese soch lia?
Tere hathon ki lakeeron mein
chuppay huay mustaqbil ki tarah,
dhundhne par bhi nahi milpaunga,
Yeh tunay kese soch lia?
Darya mei gheeri teri us
sonay ki baali ki tarah,
mei koso meel duur nikal jaunga?
Yeh tunay kese soch lia?
Kal bhi chal raha tha saath
Aaj bhi chal raha hun saath,
Sika-e-rajul-waqt sa badljaunga,
Yeh tunay kese soch lia?
Khula hai darwaza, lekin
koi to baat haina darmyan, werna
Mein mudd kar kahi nahi jaunga,
yeh tunay kese soch lia?
Tu ghafil thi, tu anjaan hai
phir bhi tera naam Suhani
apnay haathon par khudwaunga,
Yeh tunay kese soch lia?
— Dedicated to the doubters and the provers amongst the lovers.