
Poem:
Taghaful karte bhi nahin ho, taghaful ho bhi jata hai.
Ye jaam sambhalte sambhalte aksar ro bhi jata hai…
Usay taghaful se bhi hai utna hi uns jitna muj se hai,
Yeh kehtay huay aksar ik pal mein kho bhi jata hai.
Meri be-rukhi mei bhi hai taskeen us k mizaaj ko,
Woh bejaan murtiyon k pair aksar dho bhi jata hai.
Usay bas meri chhabbi chahiye apnay aas paas,
Woh raat mein batein kartay huay so bhi jata hai.
Aise to zabt se buhat thama rehta hai apne aap ko,
Par kabhi kabhi ik sher mein dil moh bhi jaata hai.
Koi kese ilzaam lagaye aise baagh k maali par,
Jo aata nahi lekin beej aitbar k bo bhi jaata hai.
Intezar mei kia kahein ab k din kese jaata hai?
Aaj, kal, parso, tarso, yunhi barso bhi jata hai.
Usay pata hai nahi milna tamsal-e-yaar ka tulu…
Bada nalaik hai, pashtata hai – to bhi jata hai.
Sohani, us se parda karne ka naya mantar keejiye,
Hum deedar karte bhi nahi, lekin ho bhi jaata hai.
— Dedicated to those of us who try our best to feign negligence with our beloved, but alas fail at every instance.
Credits: Misra-e-Matla (1st line) of the poem is provided by Madam Sarah Awan.
