
Poem:
Sanson k raag mein muskurati hai tanhai.
Sunnay par kabhi ghabra jaati hai tanhai.
Kabhi dhundhne se bhi woh na milay mujay.
Jo beech-raah mei takra jaati hai tanhai.
Tu meri tanhai ka tayyun bhi kese karay,
Kise kb kisi ki nazar aati hai tanhai…?
Kis haal mei woh tujay dekhle kia pata.
Andhon ko khub dikhla jaati hai tanhai…
Kia khanay walon ki mehfil aur tanqeed,
Murday ko bhookon se milwati hai tanhai.
Pee lay jaha dil karay, kia masjid kalisa,
Werna dhudhle agar miljaati hai tanhai.
(Nod to Ghalib).
Wese chup hai par teri yaad mein aksar,
Tawatir wawela machati hai tanhai.
Kal awargi se bacha bethi thi mujay,
Aaj aawara banaye phirti hai tanhai.
Mei kese darzi se seechwaun jodda?
Meri to nafs kaat jaati hai Tanhai.
Mei riyaazi ki har mushq bhul chuka,
Pal k darmyan pal ginwati hai tanhai.
Jo tuj se ho gaya juda usay kia hai Sehra,
Yahan bheed k beech mil jaati hai tanhai.
Usne kaha Sohani hon hum juda yakdum…
Par jaan lena qiston mei aati hai tanhai.
— Dedicated to loneliness.
Credits: Base word of the poem “Tanhai” was provided by Madam Sarah Awan.
