Lafz taron ki tarah utrein… (May words descend like stars)

Poem:

Aaj ki raat lafz taron ki tarah utrein.
Tere dil mei hum baharon ki tarah utrein.
Utrein bhi to is itiminan se hum k,
Jehad mei jaan-nisaron ki tarah utrein.

Tere aangan ki mitti ko sukhnay na dein,
Toot k un pr aabsharon ki tarah utrein…

Bhula ke tamam shikwe aaj ke din,
Teri chhokhat par yaaron ki tarah utrein
.

Milein aise k teri sard aankhon se bhi,
Moti bheeg k sitaron ki tarah utrein.

Tu tanhai se kabhi dil aashna na ho
Teri zindagi main sayaron ki tarah utrein
.

Us qalm ki tarah jo tujsay roz liptay huay hai,
Tere koray kagaz pe asharon ki tarah utrein.

Aur jo qadam dagmaga jayein to
Hum ishq ke maron ki tarah utrein…

Chaak girebaan liye hum kabhi to mehrbaan,
Tere dar par talabgaron ki tarah utrein.

Jin raston mein bachi na ho adab ki adda,
Sisa-pilai deewaron ki tarah utrein.

Ab k jang se qabl hi mayanon mein hum,
Lahu chakhi hui talwaron ki tarah utrein.

Jab na mile tujhe tera qibla,
Labaik ke naaron ki tarha utrein.

Tu na bhul humein na bhul jannat k khaab,
Daman mei tere siparon ki tarah utrein.

Kia todega wo iraday jis ki neend mein,
Tere afsanay bhi nazaron ki tarah utrein.

Kyun rahay sunsaan, ye tera mera gulistaan?
Os ban k ishq k auzaron ki tarah utrein.

Lagaliye ho jinhone apni soch per hi qufl,
Qais kash wahan loharon ki tarah utrein.

Us gaun ko nahi duba sakta koi saniha,
Piir jahan Qalandaron ki tarah utrein.

Unse khaas kar kijye ga aap mukamal ijtinab,
Jo Janaza dekh shehsawaron ki tarah utrein.

Samja na dein mafhoom ishq-e-haqiqi ka kahin,
Faqiron k beech jo hoshyaron ki tarah utrein.

Aa phir se maanlein alag na hone ki manat,
Kisi mazar par inkasaron ki tarah utrein.

Sara hashr de jis ki gawahi Sohani,
Utrein to aise khaksaron ki tarah utrein.

— Dedicated to the “parting wishes” between the companions.

Credits: It’s a co-written piece. The base phrase and half of the couplets here (in italics) are provided by Madam Sarah Awan.




Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s