Teri jagah… (Your place)

Poem:

Teri jagah koi aur le nahi sakta.
Mei bhul jaunga ye keh nahi sakta.

Sirf dil rakhne ko kehte hein,
Mei bhi kehta tha “reh nahi sakta”.

Bachaiga kaun hashr mein kise,
Ye muamla teh nahi sakta…

Tunay kaata hai phir to mumkin hai,
aasani se werna lahu beh nahi sakta.

Mil jaye tujay aisa to dikha la,
Ye dil to sadma seh nahi sakta.

Toofan k baad mausam ka haal,
Koi kuch bhala keh nahi sakta.

Koi fasla nahi aisa bhi darmiyan,
Jo wo kahay to teh nahi sakta.

Bhatak sa gaya hun shayad mein,
koi mujay rastay se le nahi sakta?

Yeh kaise dard ka saudagar hai,
de to sakta hai, le nahi sakta…

“Bas” hi to kehna hai gar aasan hai,
Koi tujay yeh keh nahi sakta?

Teri jagah banaye marmar ke makaan,
Par likha “Yaha koi reh nahi sakta”

Kyun log chahiye ghar k liye,
Khali makaan kia reh nahi sakta?

Meri aankh mein jama ashq tera,
Tuj se mile bina beh nahi sakta.

Lo chala phir ye dastak sunn kar,
Do pal chain se reh nahi sakta.

Yeh kia aana jaana laga rakha hai?
Toota ik bar pe der pe nahi sakta.

Tunay banaya hai mitti ka jism,
werna kaun maar seh nahi sakta.

Tujay bhuljaun ye ho nahi sakta,
Bhulay tu ye dua de nahi sakta.

Mumkin hai k koi dil hi nikal le,
Rehne wala to le nahi sakta.

Tu reh leti hai qasr kar k yahan,
Koi aur hota to reh nahi sakta.

Ajab Sohani tera ishq muj se,
koi chah kar bhi le nahi sakta.

— Dedicated to the Beloved

Trivia: Was trying to practice brevity for once, inspired by poet extraordinaire Juan Elia.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s