Aadha Chaand (Half-Moon)

Poem:

Ik nao mei aasmaan ka safar kar aatay hein.
Hum aadhay chaand ko yu amar kar aatay hein.
Le jaatay hein saath baad-e-nau-bahaar bhi,
Bo safaid mukhmal pe, rang-e-jigar aatay hein.

Us chandni talay jugnu sharma jatay hein,
Kar uddu hamaray jinhein sar aatay hein.
Dekh kar aata hai samandar bhi qibahon mein,
Puuray chaand se jb woh nisf-qamar aatay hein.

Koi no pehchanay siwae deed-e-yaar k,
To chehre pe zulfien bikhar aatay hein.
Akele chahay karlein kainaat ka safar,
khud ka safar karne ik qamar aatay hein.

Pohanchte hein un tak ashqon ki seedhi se,
Thora thora har badal thahar aatay hein.
No ho koi bhi mudakhulat phir darmyaan,
Gali k awaraoun se sauda kar aatay hein.

Dekh kr taray na karlein hisaab mei garbar,
Isliye har ada do baar sa.nvar aatay hein…
Hum aksar fakht dil rokne k liye unka,
Nisf chand lamho se mukar aatay hein…

Kartein hein jatan khub unko mananay k,
Naraz-o-khafa khud paas kidher aatay hein?
Nahi bhujtay chirag un k seenon mein phir,
ik roshan jazeeray ka safar jo kar aatay hein.

Woh jo us ki gali mei ik bar guzar aatay hein.
Nisf dubay chand ki manind ghar aatay hein.
Jo usko dekh lein aik baar woh bhultay nahi,
Aksar gunahgaar bhi wahan sudhar aatay hein.

Pehchanay nahi jaatay gor se dekho tab bhi,
Jo be-rang us chandni mein nitar aatay hein.
Sohani aa, kuch achay kashkol le aatay hein,
Teergi mei peenay ko roshni bhar aatay hein.

— Dedicated to the full and half-moon.

Credits: Base word of the poem “Aadha Chaand” was provided by Madam Sarah Awan.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s