Barish achi nahi lagti… (Not fond of the rain anymore)

.

Poem:

Barish achi nahi lagti…
Mujay gili mitti se
tere jism ki khushbu aajati hai.

Phir wahi bundon mei
bundein shamil…
teri yaad ki nehar
khul jaati hai.

Jaise jaise parti hai chehray par
bhigone ko usay…
Wese wese tere lams ki yaad
taaza hojati hai.

Chhitiyaan jo teri chhupai
thi taqyon talay kabhi,
badlon se ab
ghirne ko aati hein…

Ju’n Ju’n pohanchti hai
pardon tak aawaz mere
us k garaj k utarne ki…
Qalm nahi lagta,
ik siyahi se
shayari khud ba khud
likh jaati hai.

Bheegta hun
jaise hi mein is mein
muj se teri khushbu lipat jati hai.
Yeh be-rang hai?
Jhoot kehtein hein log…
Yeh mujay sar se lekar paun tak
rang hi rang jaati hai.

Geela hi nahi hota sirf
jal bhi jata hun mein…
mere dil ki aag is paani
ko dekh kar bahar aajati hai.

Jo deewarein banayi thi
maine jalay huay puul
ki lakriyon se,
woh sab ki sab dheh jaati hein…

Aksar yeh samaj nahi padti
Barish hoti hai to yaad aati hai,
k jub yaad aati hai teri
to Barish hojati hai?

Mujay barish achi nahi lagti
tujay bhulanay ki sari tadbeerey
beh jaati hein…
Ik taranum mei sookha rehne ki
sabhi kasmein bhul jaati hein.

— Dedicated to the rain and nostalgia of love that it brings along…

.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s