Lehron Ki Aawaz – 2 (Confession of the Ocean)

.

Poem:

Lehron ki aawaz se dil bahal jaata hai.
Un k aatay aatay waqt sahl jaata hai.
Aatay hein sahil pe mere toofan ki tarah,
Qadam padtay hi samandar nikal jata hai.

Un ki aamad par kyu na hon roshan samaat,
Jin ki sun k aawaz saya bhi chehel jaata hai.
Mansukh kia jisne kabhi pyaar ka peghaam,
Aaj us ka dil ik farmaan par tehel jata hai.

Mat puuch usay yaar ko dekhna kia hota hai.
Sang-dil roz deedar k liye taj mahal jata hai.
Jis ko mil gayi deed us ka hi to hai naseeb.
Mairaj mei kia k kaun kis se pehl jata hai.

Milta tha jo muj se khula chaak liye kabhi,
Woh mujay aata dekh ab rasta badal jata hai.
Kyun un se hon hum khafa is shehr mein to,
Kuch din saath dekar rasta bhi badal jata hai.

Dekh Suraj bhi badlon mein chhup jata hai,
Sirf dekh kar jisay yahan dia bhi jal jaata hai.
Unk paas aatay hi, zor-e-toofan tham jata hai.
Mom hai kia cheez, pathar bhi pighal jata hai.

Un k tabaq k samnay kia gully, kuucha, nehr…
Sohani tera har sher bahr se bahar nikal jata hai.

— Dedicated to the beloved.

— Trivia: Part 1 of the same topic is covered in another Ghazal with the same subject:
Lehron ki Aawaz (Song of the Ocean)…
https://alisohani.wordpress.com/2022/10/17/lehron-ki-aawaz-song-of-the-ocean/

Credits: Base phrase of the poem i.e. “Lehron ki Aawaz” provided by Madam Sarah Awan.


Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s