Woh sitaray kab utrenge? (When will those stars descend?)

Poem:

Ajab k aasman se woh sitaray kab utrenge…
Tere mayaar pe hum puray kab utrenge…?
Hotay rahenge yahan hashr k faislay aur,
Mere libaas se tere angaray kab utrenge?

Dekhein kb tak chipkay rehtay hein suli se,
Haath thay jo sirf tujse juray kb utrenge?
Pohanchenge leke dua satway aasman tak,
Jo thamay nahi woh adhuray kb utrenge?

Waaday mei thay shamil teri Mohabbat ke,
Sadiyaan beet gayi, woh ashray kb utrenge?
Ashq jo pohanchay hein mere falak tak,
Najanay tuj pe badal saharay kb utrenge?

Maathay pe charay hein mere Suraj ki tarah,
Ye din jo tere gham mei guzaray kb utrenge?
Rokliya hai jis ne tujay mujay dubanay se?
Tere asar darya se woh kinaray kb utrenge?

Li mohabbat mein humnay jo uunchaiyaan,
Zikr-o-ghazal mein wo shumaray kb utrenge?
Guftar-e-waqt se chaun-o-dhuup ko hai pehr,
Aur hum muntazir, pehr tumharay kb utrenge?

Raat bar beth-ta hun ik khayal mein ghum,
Mujay ik raat k aagay, isharay kb utrenge?
Beth gaye hein Sohani tere mazaar par woh,
Gawah parinday ishq k hamaray kb utrenge?

— Dedicated to the inquisition of rewards that beloved bestows on the lovers for their devotion.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s