Sard raaton mein (In the nights full of cold)…

Poem:

Sard raaton mei koi deepak jalaya hai.
Ik veeran mein yadon ne behlaya hai.
Mumkin ho aajaye nazar tujay iski lou,
So har dareeche ka bazu phelaya hai.

Tu apni bata, Us dil ki baat chhor de,
Jisay yaad k eendhan ne chalaya hai.
Mat puuch kis haal mei raha hai woh…
Jo kisi haal mei bhi nahi rehpaya hai.

Farishtay, us k darwazay se to na mur,
Jisne tere intezar mei ghar sajaya hai.
Yehi soch rahein hein k pighal jayega,
Sard buton ka mujisma jo banaya hai.

Mat jhaank yun mere gireebaan mein,
Tere khaton se apna taviz banaya hai…
Ird gird kayi deewarein banayin hein,
Aur tere aks ko khone se bachaya hai.

Hai pareshaan yaar qalam ki talash mein,
Kyun aashiqi ka naam sabar likhwaya hai?
Us k zabt ko kia torega toofan-e-sagar,
Jis ki kashti ko talatum ne sehlaya hai.

Ho hisaab Sohani tera magar, khataon ko
Tere mehboob ki duaon ne bakhshaya hai.

— Dedicated to the beloved.

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s