Teer ki tarah… (Like an arrow)

Poem:

Mere dil ko lag gaya hai ik teer ki tarah,
Dost bhi hai, raqeeb bhi, zameer ki tarah.
Dikhata to hai yu roz woh chehra apna,
par kabhi mera bhi, ik tasviir ki tarah.

Usko bhi parhna parta hai bade gorr se,
Maana woh khulta ho tafsiir ki tarah.
Kuch parhta bhi hai aur chhorta bhi,
Deevaron par likhi tahriir ki tarah.

Nahi milta us ka sira soch k waqu mein,
seechna parta hai tadbiir ki tarah.
Go us ka hona to hai lazim, par usay,
paana buhat mushkil, taqdiir ki tarah.

Mene tab tab dekhein hein jaag k sapnay,
jab jab aaya samnay wo tadbiir ki tarah.

Karta hai Sir qalam ik Badshah ki tarah.
Jukh jata hai samne, ik faqiir ki tarah.
Kabhi dikhata hai amber k rastay humein,
Kabhi milta hai bhatke rahgiir ki tarah.

Woh jugnu hai, chand hai, sitarah hai,
Kardeta hai roshan sb piir ki tarah.
Sohani ho daryaft us se raaz-e-ulfat bhi,
Khinchta hai musavir zanjhiir ki tarah.

— Dedicated to the time and the guiding stars.

Credits: Base phrase of the poem provided by Madam Sarah Awan.

Leave a comment