Tazkara-e-halaat (Narration of Events)

Poem:

Kya karein tazkara-e-halaat baar baar…
Padti hai bin mausam barsaat baar baar…

Kis khulus se chunnein hum dil k raastey,
Har mod par aati hai nayi baat baar baar.

Hum hein be-zubaan aur woh nabeena…
kahan se laaye izhar-e-jazbaat baar baar.

Barh na jaye kahin rishtay ye lein dein k,
Kia roz ba roz karni mulaqaat baar baar…

Ab k aaye puuchna tum mustaqil thikana,
Kyu milkar nahi milti ye soghaat baar baar…

Koi pukaray saaki to koi sunaye afsaanay,
Aatay rahein kyun sirf khayalaat baar baar…

Jo kartein hein jammah detein hein dars,
Chaak jholi se nikalein zakaat baar baar…

Itni ulfat se maarein kahaan peshani Sohani?
Jahaan “Haan” se ho buland darjaat baar baar…

— Dedicated to cycle of love – cycle of life…

Leave a comment