Ab k Jab Aana… (When you visit now…)

.

Poem:

Ab k jab aana to tum sab kaam chhor kar aana.
Karna koi jatan bahana, yahan daud kar aana.

Koi dekh na le badlon se qadm utarte huay,
Tum libaas par kaali kamli odh kar aana.

Janta hun mushkil hai bara waqt ka nikalna…
Is baar tum ghadi ka ik kaanta todd kar aana.

Buhat duur na nikal jaana chhor kar tanha,
Mushkil hota hai rastay ko modd kar aana.

Tumhay paas bitha kar banaunga itr mai.
Tum chashni le aana, neem chhor kar aana.

Bhul na jana kis muqam pe rakha tha zindagi k,
Yaad rahay fasanay ka wo warq modd kar aana.

Mene dekhlia hai Ishq ka maujza duaon mein,
Ik qadm barhana, Us ka so qadm daud kar aana.

Waqt na kat jaye phir shikayaton mein kahin…
Sohani, dil ko apnay itminan se jodd kar aana…

— Dedicated to the beloved.

Leave a comment