Jab tum nahi hoti… (When you are not here)

Poem:

Jab tum nahi hoti to kuch kam bhi nahi hota hai yahaan…
Hota mein bhi hun, bas mera aqs hi nahi hota hai yahan.

Aise kaun nahi aata yahan behlane din mein so baar…
Jis ka intezaar ho besabar bas wahi nahi hota hai yahan.

Tum jab hoti ho to shayari kia ik raks hota hai yahan…
Nahi hoti jb to saat kia ik sur bhi nahi hota hai yahan.

Ab kese rahun jalta hawa k gehre lapaito mein bhi mein?
Lipatne wali aag to hoti hai aatishi nahi hota hai yahan…

Teri kami mein hashr ka maidan hogaya dil mera kia?
Sirf haan ya aameen hota hai, nahi nahi hota hai yahan…

Samja samja kar kyun thak gaye hein ye waez mujay,
Koi wajah hoti hai kuch yunhi nahi hota hai yahan.

Sirf soch k hi tujay mere ishq ki ab mairaj hojaye…?
Sab hota hai yahan dost ik yahi nahi hota hai yahan.

Ab jaan gaye hein pata mere dost bhi aur raqeeb bhi,
Jo wo nahi hota idher, ye bhi tabhi nahi hota hai yahan.

Kuch karo kabu, koi karo tadbeer, kia majra hai bhala?
Sab kuch hota hai par kuch bhi sahi nahi hota hai yahan.

Batein kartay kartay teri mein phir se kahin kho na jaun…
Yahan sadiyaan hoti hein ik pal hi nahi hota hai yahan.

Kahan beech mein phas gaya hun mei umeed aur bemari k,
Dard bhi nahi hota sahi se, ilaj bhi sahi nahi hota hai yahan.

Chara sazon ko dedo tum yeh khabar ba-buland-ailaan-aam…
Sohani jo pehlay hota tha kabhi ab kahi nahi hota hai yahan.

— Dedicated to the poet beloved Juan Elia on his 20th Death Anniversary.

Credits: The base word of the poem: “Mera aqs” was provided by Madam Sarah Awan.

Leave a comment