Parchaai… (Shadow…)

A bird that left the nest…

Poem:

Teri parchai se bahar nikal to aaya,
par khudko bhi kahi duur chhorr aaya.

Us k hissay ki khushi bhi na mili usay,
Aise kisi rastay par mun morr aaya.

Uski chhaun mei ab mazeed kia rakha hai
yeh kehtay huay sb huddein torr aaya…

Aankh hamari bhi khuli tb jaa kr k jab
Uski dabbi aahat ka ikdum se shorr aaya.

Kuch waqt guzra farishtay ka hisaab mein.
Chahat pe uski bari deir mei gorr aaya.

Woh chhorr nikla har munasbit se phir bhi
Yaad k aangan mei jb bhi aaya aur aaya…

Sohani khel mei chori se bhi na jeet paaya
Yeh aakhri haath to bara hi kamzor aaya.

— Dedicated to the birds that leave the nest…

Credits: The base word of the poem: “Parchaai” was provided by Madam Sarah Awan

Shadow by Pablo Picasso (1953)

Leave a comment