Ishq mei mehboob se koi khata nahi hoti (In love, there’s no fault of the beloved)

Poem:

Ishq mei mehboob se khata nahi hoti,
Inteha hoti hai khub par saza nahi hoti…

Unko na sochein fursut mei gar waqtan,
Naflein to sahi, farz bhi ada nahi hoti…

Ishq aur chahat mei sarkashi lazim hai,
Sirf dhadkan k rukne se wafa nahi hoti.

Un se kardetey hein baatein be jijak,
Kahin aur to rasman bhi juda nahi hoti…

Magnay aatay hein roz sharf mulaqaat ka,
Bhool jatay hein ishq mei gadaa nahi hoti…

Meri Aashiqui hi mera ilm mera johar hai.
Mujh par aur koi tashnagi fidaa nahi hoti.

Usko chhu jaye jise ho hosh khonay ka pata.
Werna ishq ki parastish mei nidaa nahi hoti.

Sara jahan dhund kar na milay usay Sohani,
Jo miljaye chilman mei to sivaa nahi hoti…

— Dedicated to the beloved.

Credits: Prompt of the poem was shared by Madam Sarah Awan.

Leave a comment