
Poem:
Teri odhnii talay chandni ko takte hein.
Na-beena yun roshni ko parakhte hein.
Teri yaad saath ho to veeraan mei bhi…
Taray gulistan ki manind mehekte hein.
Masroof kaun nahi par tujay likhne ke liye.
Hum chalti zindagi se waqt maar lete hein.
Hum us shab ki lou ko baarhaa taraste hein,
Jahan parwanay bina chiragaah pighalte hein.
Dekhe jabse yaar ki dehleez pe biche phul.
Bilah-nagah chhokhat pe maatha taikte hein.
Khayal rakhtay hein us ka k Nazar na lagay.
Dil pe isliye kaala tikka lagaye ghumte hein.
Unko kia gham-e-duniya gham-e-hijra, jo
Roz aapka chehra dekh kaam pr nikalte hein.
Jab ghoom aayein Taj Mahal to gin lena kitne,
Hamari jhonpri k malbay mei dabbay milte hein.
Woh kia janay jise roz bheegnay ko miljaye.
Sehra mein kismat se chashmay phoot-te hein.
Ab kis se dei tashbih unko Sohani, samne in k,
Phul Jharne bhi sharma sharma k ghirte hein.
— Dedicated to those who love makes blind… But if it didn’t make one blind, would you still call it love?
