Kaho mujse “Mohabbat hai” (Tell me it’s “Love”)

Poem:

Kaho mujse “Mohabbat hai”,
aur kuch talay torr do…
kuch zubanein band kardo…
kuch raastay kholdo….

Kaho mujse “Mohabbat hai”,
Yun pardon mein kya rakha hai?
Mere saath likhay
afsano ko tum saada hi sahi
haqeeqat se seencha hua
ik libaas to do…
Aur pehn lo woh libaas
k tumhein kisi ki nazar
na lagay…
Is rishtay ko paak karo…
Kaho mujse “Ulfat hai”,
aur saath mein mera naam lo…

Kaho mujse “Ulfat hai”,
Yeh isharo mein kya rakha hai?
Kabhi chand, kahbhi chandni
kabhi darya, kabhi kashti…
Yeh mahwaron mei
konsa Khuda chhuppa hai?
Seedhay seedhay is rishtay ko
koi ik naam to do…
Dosti hi sahi,
chalo us ka bhi koi rutbaa
aur inaam to ho…
Kaho mujse “Raffaqat hai”,
aur shak ka koi imkaan na ho…

Kaho mujse “Raffaqat hai”,
Aur Is samaaj par ik ehsaan karo…
Tum sawalon ko sar az-sar-e-aam karo…
Yeh pehliyon mei kia rakha hai…?
K bhujo to inaam karo.
Mei koi cheez to nahi,
k mujay is tarah nilaam karo…
Har baat par tumhari – ho hamari “haan”,
Aur hamari har baat par kaho
“kuch soch te hein, abhi na pareshaan karo”…
Is munfiqat ka anjaam karo.
Kaho mujse “Musahbbat hai”,
saath koi sawalya nishaan na ho…

Mei janta hun, buhat mushkil hai,
Bahar aana tariki se,
Roshni mei aitraf karna…
Dil ki sunna, dil ki karna.
Is zalim samaj se larna…
To chalo ik kam karo,
aasan kiye dete hein
har mushkil ki tarah,
yeh mushkil bhi tumhari.
Gar kuch bhi na ho tum se to…
Kaho mujse “kuch bhi nahi hai”,
phir mudd jao, aur mujay chhorr do…
Kuch na sahi to shayad,
Aise hi tum do Janay bakhsh do…?

— Dedicated to love that demands the purity of heart not just in thoughts but in practice.

Credits: Base phrase of the poem provided by: Madam Sarah Awan


Leave a comment