Ae, Mohabbat, suna hai k tum jawaan hogayi ho… (My love, I have heard you’ve grown up now…)

Art by Pakkhee (Miss Areesha Khuwaja).

Poem:

Ae, Mohabbat… Suna hai
k tum jawaan hogayi ho…
Khud ko kho Janay k darr se
pareshaan hogayi ho…

Ae, Mohabbat… Suna hai
k tum jawaan hogayi ho…

Mehlon ko chhor kar,
aur chhor kar sehan ki chhaoon…
Garam rait mei nikal k
faqt nangay paun…
kuch Kachay pakkay raston se
aashnaan hogayi ho…

Ae, Mohabbat… Suna hai
k tum jawaan hogayi ho…

Deewarein seech di hein tumnay,
apnay sirhane mein…
kai kabzay banadiye hein
aangan k thikanay mein…
phir bhi toofanon ki zar
chaak-giraybaan hogayi ho…

Ae, Mohabbat… Suna hai
k tum jawaan hogayi ho…

Shehr k daireena raaston
Ki surkhiyon ko parh parh k…
Naqsh se haal ko,
haal se mustaqbil ko chun chun k…
phir ajab karishmay dekh
hairaan hogayi ho…

Ae, Mohabbat… Suna hai
k tum jawaan hogayi ho…

Gulistan mein chhabbi
manwali hai tumne,
Kaanto se bhi jaan
chhurali hai tumne…
Phir bhi andhere mei chupke
aksar aah bharti ho…

Ae, Mohabbat… Suna hai
k tum jawaan hogayi ho…

— Dedicated to the beloved.

Art by Pakkhee (Miss Areesha Khuwaja).

Leave a comment